Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai,Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai;
Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai,Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai;
Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka,Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai;
Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka,Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai;
Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein,Magar pahle unhein deewana ban’ne ki zaroorat hai;
Maqaam-e-ishq ko har aadmi ‘seemab’ kya samjhe,Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai..!!!
Incoming search terms :
Maqaam-e-ishq
Ishq ka maqaam
Ishq ki haq
0 comments:
Post a Comment