Hazrat Sultan Bahoo R.A Saying
Hazrat sultan bahoo ne zuban se ada kiye gaye kalma ko sifati ya sifate sanaai kalma kaha hai- aur batini haqiqi kalma ko zati ism, dil ka kalma " ism e aazam" Allah ka ism" wagera kaee namo se pukara hai - ye zuban se ada hone wala nahi, bal k apne aap dil mein padha ja raha hai, jis ko haqiqi aashiqe murshid ki hidayat ke bamu jab padhte hain, aur jis se un ka maheboob se abdi wisal ho jata hai-aashiq ishq ki namaz padhte hain jis mein koi harf istemal nahi hota-asl namaz wahi hai jo zuban aur hont hilaae bager ada ho-
1-Ka ne kap ke qalam banawan likh na sakkan qalma hoo....
2-z- zubani kalma har koi aakhe dilda padhda hoo....
Jethe kalma dilda padhye othe jebhe mile na duhee hoo....
Dilda kalma aashiq padhde ki janan yaar galoee hoo....
Main e kalma peer padhya bahoo sada suhagan hoee hoo....
3-Aashiq padhan namaaz pirem di, je wich harf na koi hoo....
Jeeb te hont na hillan bahoo, khas namaazi soee hoo....
0 comments:
Post a Comment