Recent Posts

Results

SEARCH JASHN-E-AULIYA

Friday, July 19, 2013

Bedam Shah Warsi Kalam

Khud apne Jalwa-e-Hasti ka mubtala hoon Main ..
Na Muddayi hoon na kisi ka Mudduaa hoon Main ..

Junoon-e-Ishq ki nerangiyaan are tauba ..
Kabhi Khuda aur kabhi Banda-e-Khuda hoon main ..

Badalti rehti hai duniya mere Khayalo ki ..
Kabhi Mila hoon kabhi Yaar se juda hoon Main ..

Main mit gaya hoon to phr kis ka naam hai BEDAM ..
Woh mil gaye hai to phr kis ko dhoondta hoon Main ..

SHARE IT
Share to Facebook Share to Twitter Share to MySpace Stumble It Share to Reddit Share to Delicious More...

Marifatan Kalam - Must Read And Share

Agar hai shauk milne ka to har dam lau
lagata ja
jala kar khudnumaai ko, bhasam tann
par lagaata ja.
pakad kar ishq ki jhaadu, safaa kar hijra-
e-dil ko..
dui ki dhool ko le kar, musalleh par
udaata ja.
musalleh chod, tasbeeh tod, kitaabe
daal paani mein..
pakad tu dast Murshid ka, ghulam unka
kahaata ja.
na mar bhukha, na rakh roze, na ja
masjid, na kar sajda..
waju ka tod de kooza, sharaab-e-shauq
peeta ja.
hamesha kha, hamesha pee, na gaflat se
raho ekdum..
nashe mein sair kar, apni khudi ko tu
jalaata ja.
na mulla ho, na ho brahmen, dui ki chod
kar puja..
hukm hai shah Qalander ka, anal-Haq tu
kahaata ja.
kahe Mansoor Mastana, maine haq dil
mein pehchana..
wahi masto(n) ka maikhana, usi ke
beech aata ja.

SHARE IT
Share to Facebook Share to Twitter Share to MySpace Stumble It Share to Reddit Share to Delicious More...

Thursday, June 27, 2013

Saying Of Hazrat Imam Gazali

Hazrat imam Mohammed GAZALI apni kitab" wqaequl akhbar" sharif mein farmate hain :TARJUMA- Insan ka sar MEEM ( م ) ki tarha gol, Haath HAA ( ح ) ki tarha, Pet MEEM saani ( ﻣ )ki tarha aur ..Paon(per) DAAL ( د ) ki tarha banae gaye hain ..Insaan ke dhaanche me Naam-e-Mohammed Naqsh hai ..

Sallalahoo Alayeka Ya Mohammed

SHARE IT
Share to Facebook Share to Twitter Share to MySpace Stumble It Share to Reddit Share to Delicious More...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...